High Quality Backlinks Kaise Build Kare.


high quality backlinks kaise build kare

Sirf blog bnake , post publish karne se ,aap paise nahi kama skte ,uske liye apko apne blog par traffic generate karna hoga . Aur traffic create karne ka secret hai, backlinks build karna . High quality backlinks build karke aap apne blog ki rank boost kar skte hai . High quality backlinks build karne ke kai methods hai . Lekin me apko working methods hi btaunga .

Sabse pahle jo chiz janni hai vo hai what is backlinks  and backlinks apne content ke liye kya karte hai. Ye sab jaanne ke baad aapko btaunga ,how to build high quality backlings.

What is a Backlink? Iski definition mene definitions post me define kar rakhi hai .

Kulmila ke backlinks hamare blog ke liye important factor hai aur high quality backlinks rank ko jaldi improve karte hai.

To chalo ab padte hai 

How to build high quality backlinks

Long ,Interesting Posts Create karo

Good backlinks create karne ka one of the best and easiest way hai long and interesting posts likhna. Long and interesting posts ke liye usme high quality images ,charts, point to point description and dusre graphics jisse post interesting lage. Length ke hisab se dekha jaye to kamse kam 1000-1500 words long hona chiye. Long and interesting posts se log apke posts ki trf attract honge aur backlinks provide karwa skte hai.

Forums me Participate kare.

Forums me active rahke aap apni reputation bna skte hai dusre bloggers ke samne . Forums me useful and informative article submit kare jisse jyada se jyada log apse judhe.

Special Days Create kare

High quality build karne me ye trick bhi kafi successful mani jati hai. Special days jaise valentine’s day or other days , in par apne product par discount provide karake traffic bda skte hai. Yaad rkhna special days par good content hona jaruri hai. Taki log apke blog/website par chipke rahe.

You Tube

You tube bhi bahut accha platform hai apne blog ke promotion ya traffic generate karne ka , apne topic se related videos youtube par upload karo aur vha apne blog ka link daal do.

Dusre Blogs Ke Sath Interaction

Apne blog se related blogs ko regularly read karo aur apne post se related posts par comment karo , comment me sirf “nice post” ye mat likho balki ,ek accha sa informative comment likho ,taki dusre bloggers ko bhi apke talent ka ahasaas ho aur apse interact ho.

Guest Blogging

Guest Blogging to bhramastra ki tarah hai , ye bahut hi achha tarika hai . Isme apko dusre blogs par new ,informative ,seo friendly content post karna hota hai , iske badle me vo apko unki site se link provide karenge. Ye thoda time consuming hai but best method hai.

Social networking sites

Social networking sites par apni profile banaye or regularly apne blog posts share kare . LinkedIn , Facebook , twitter etc.

To guys kesa laga ye post ,kuch smajhe bhi ya? 
Aaj Hi high quality backlinks bnana shuru kar de ,inko index hone me time lagta hai.



High Quality Backlinks Kaise Build Kare. High Quality Backlinks Kaise Build Kare. Reviewed by Rajesh on 11:31:00 AM Rating: 5

2 comments:

  1. Bhot hi accha jankari diaya hai aapne nice a article

    ReplyDelete
  2. Nice article thanks for this article.

    ReplyDelete

Hume Khoosi hogi ap comment kroge to thank you

Powered by Blogger.