Image Optimization For Better Search Results- Hindi me


Better Search Engine Rankings Ke Liye Image Optimization.

Image optimization for better rankings in search results
seo-image optimization

Jab Search Engines apki site ke pages ko index karna shuru karte h ,tab vo sirf apki writing par hi focus nhi karta. Google ,bing ,yahoo in search engines ke dwara use kiye gye web crawlers apki puri site ka analysis karte hai ,saari relevant information ko vo check karte hai jo ap customers ko offer karte hai. Kuch chize jaise backlinks ,tags aur images bhi usme included hai.


Images bhi blog ka ek bahut important hissa hai. Images readers ko bore hone se bchati hai, jisse readers apke blog par jyada time tak ruk pate hai, aur sath hi apke post ke concept ko bhi images easily clear kar deti ,matalb aap kya kahna chahte ho apke post ke through vo images bta deti hai.


Bahut log google images ka use lete hai ,to images se ye bhi bahut acha tarika hai traffic badane ka.

Or ye sab mumkin tabhi hai jab apn image optimization practice kare.


Image Optimization bhi On-Page SEO me included hai ,isliye ye bhi bahut bda factor hai better search engine rankings ke liye image optimization  


To me apko btata hu Image Optimization Ki Best Tips

Image Optimization Tip 1.>> Alt Tags and Title Text



 
image optimization

Blog readers loves images ,lekin google ke web spiders ko sirf information chaiye. Ab agar images na lgaye to readers ko preshani or images lgaye to search engines ko dikkat hoti hai ,iss halat me ,experts ne iska solution nikala  aur vo hai images ka optimization, images ko optimize karke hum search engines ke web crawlers ka dil jeet skte hai.


Alt tag use karke hum bta skte hai ki image actually hai kiski hai ,for example , manlo apne apki car ki image upload kari ,or “alt” tag me apne likh diya “it’s my Life” ,ab web crawlers usko crawl krenge to unhe nhi pta hai ki ye car hai , vo sirf “it’s my life” ko yaad rkhenge or koi aise likh ke search krega to use vo show kar denge.


Isliye Images me real kya hai use btane ke liye hum “alt” tag ka use lete hai ,to “alt” tag ka use shi se kre vrna real image search results me kabhi nhi aa payegi.


Ab Bat karte hai “Alt” tag include kaise kare do tarike se kar skte hai ,HTML code edit karke bhi or direct bhi , me apko direct method btata hu.


Picture Post me upload karne ke baad uspar click karo, niche blue color me options show honge usme >>properties par click karo


Apki image me kya hai ,vo alt tag me likho or save kardo


Ab yhi process Title Text ke liye bhi karna hai , aur jab bhi koi image apne blog me upload krte hai to apko us image ka optimization krna nhi bhulna hai.


Aur ek  baat aap jab bhi image file save kro tab uska bhi naam change kiya kro mtalb , “my-car.jpg” aise .

Image Optimization Tip 2. >>Add A Caption


image optimization tip 2 -add caption
Add a Caption
Image upload karne ke baad ,apko hmesha image caption add krna chaiye taki browser ko aasaani rhe ki actually kya search kar rhe hai. Isse apne blog me thodi professional vali ronak aa jati hai aur logo ko attract karne me bhi kaam aati hai.


Bahut log images ke chkkr me apne blog par aa jate hai , or vo images download karte hai ,isse vo kafi time apne blog par bitate hai ,jisse bounce rate me fayda hota hai. Bounce rate depend karti hai user apne blog par kitna time rukta hai . Isliye logo ko apne blog se chipkane ke liye image optimization important hai ,or isse SEO rankings bhi improve hoti hai.


Image Optimization Tip 3. >>Size Of File


Bounce rate improve karna muskil hota ja rha hai .High bounce rate aur slow loading content ,bahut sare blogs ke khtm hone ka karan ban gya hai, kyonki koi slow loading content vale blogs like nhi karta . Readers do tin blogs khol ke dekhte hai ki konsa accha hai or uspar chle jate hai.


Image optimization me apko image size jitni choti ho ske utni choti rkhni chiye ,lekin image ki 
 quality bhi yha matter karti hai ,to uska bhi adjustment apko karna hoga. Jyada mega pixel camera se khichi images minimum 1-2MB ki hoti hai ,to aap directly unko upload na kare vrna SEO rankings ko kafi hurt krega.


Photo editors ka istmaal krke unki size reduce kr liya kro.


To ye baat ho gai better search engine rankings ke liye Image Optimization ki . Agar apne abhi tak apni uploaded images ka optimization nhi kiya to abhi shuru kar dijiye .Ap upr di hui Image optimization tips ka use kare or SEO rankings me improvement kare.


Agar apko ye post pasand aaya ho to ,please share jrur kare . Or iske related questions bhi puch skte hai comment ke through.


Read More Similar Posts
                                                                                                                                                                                          

join Tesla Themes  affiliate program 











Image Optimization For Better Search Results- Hindi me Image Optimization For Better Search Results- Hindi me Reviewed by Rajesh on 11:35:00 PM Rating: 5

No comments:

Hume Khoosi hogi ap comment kroge to thank you

Powered by Blogger.