8 Hot Search Engine Optimization (SEO) Tips Bloggers Ke Liye- Hindi Me


8 Hot Search Engine Optimization (SEO) Tips Bloggers ke liye

SEO, shayad aap phle se jante ho ,fir bhi kuch chize aisi hoti hai jinko kitna bhi smjhlo ,kam hi lagti hai ,SEO bhi kuch aisa hi hai. Simple words me bat kru to SEO ek tarika hai jiski vajah se search engines jaise Yahoo,bing, Google or bhi bahut hai , ye apke blog ko search results me late hai .


SEO samajhne se phle ye smjhte hai ki Search Engines kaise kaam karte hai 

chlo apko real world ka example leke batata hu, manlo internet ek bahut bda khali kmra (room) hai or isme hwa(air) ke kan(particles) mojudh hai mtlb websites. Ab ek makadi(spider) usme chodd do , spider ka chota se chota kadam website crawl karega qki websites to bahut hai internet par . Search Engines jo software use karte hai use web spiders kahte hai . Is trh search engines websites ko ek ek karke crawl karte hai or unhe rank dete hai , or vahi ranking hmare blog/website ke liye bahut important hai.


Google web crawler

Ranking ki agar hum bat kare to ,Higher ranking pane ke liye apko or muje dono ko SEO ki jarurt hai. SEO ki Importance utni hi hai jitnii “Sabjhi me namak” ki hoti hai.

Agar ap chahte hai ki apke blog/website ko search engines search results me show kare to apne blog ko optimize karna hi padega .

Or aaj is post me main 8 aisi hot tips btaunga jo apke blog ke liye masiha sabhit hogi.


Blog ko Optimize karne ki Hot Tips


8 HOT SEO TIPS padne se pahle apko bta du SEO do tarike se hota hai
1     
    1 On page SEO : Isme apne blog ke content , html code, titles etc in sbko optimize karna hota hai.
2.Off-page SEO : Off-page optimization me hume backlinks ,social sharing in chizo ka dhyan rkhna hota hai.

Blog optimization ke liye 8 Hot-Killar Tips



1. Blog Post Titles Ko SEO Friendly Bnaye

blog post title seo friendly bnaye


Post Titles SEO Ke liye bahut hi important hai. Isliye Jab bhi ap kuch likho to post titles ke upr dhyan dena na bhulna. Titles ko simple ,sundar, meaningful, or content se related likhna . Apke post titles se logo ko saaf pta lgana chiye ki apka post akhir hai kis chiz ke bare me. Logo ki feelings smjhne ke liye aap ek kaam kar skte ho , aap khud ek user ki trh socha karo ki aapko us topic par search karna hoga to kaise google par search karoge.

Apne Post Tiltle ko hmesha 70 characters ke under hi rkho or keywords dalna na bhulna

2. Apne Content Ko SEO Friendly Likhe

Quality of Content , ye dusra sbse important point hota hai ,SEO ke liye. Content apki site ka sabse important hissa hota hai ,issi me apke blog ki sari takt hoti hai ,akhir isike liye to blog bnante ho. To isme apko dhyan kiska rkhna hai vo dekhe:-



  • Content kahi se copy-paste na kare, aur apna khud ka content taiyar kare



  • Sirf ek hi tarah ke keywords bar bar use na kare, keywords repeat krne se google ko farzivada lagne lgta hai

  • Pure content me sirf images hi na lgaye, qki search engines ko images se itna pta nhi chlata or vo apki site ko kabhi rank nhi karega

  • Content kam se kam 400 words me likhe ,or 400 words me saari jankari dene ki koshis kare

  • Post title se related  jankari hi dale, aisa na ho title alag aur content pura alag isse users ko apke blog se nafart hogi.

  • H1, H2 in heading tags ka shi istmaal kare ,google ko systematic blog jyada pasand aate hai.


h1,h2,h3,h4 heading tags ka use kare

 

3 . Use Proper Keywords

Keyword vo hote hai jinhe log apne content ko search karne ke liye use karte hai, isiliye keywords SEO ke liye bahut hi important hai , or apne blog me rich keywords ya long tail keywords ka use le.

Keywords ka Kha-Kha Use Kare??

**sabse phle Apne Post title me keywords dale (jaise maine upr dala hua hai SEO)


**Uske baad Page URL me


** Paragraphs ke starting or end dono me


**Main Body matalb main article ke bich me lekin sentence pura jmhna bhi chaiye


** dusre Post me bhi Iss post ke keywords use kar skte ho as a link bnakar

4 . Meta-Tags (jyada important nhi hai)

Mere hisab se btau to meta-tags ab itne important nhi hai qki google or dusre search engines ne ye tarika kabka chodd diya apni sites ko dhundne ke liye.

Haan meta data me keywords use karna shi hai but bahut saari themes already ye kaam kar deti hai or agar aisa nhi hota hai to ap page source or view source dekh skte hai or edit kar skte hai .

5. Social Media par Share Karna

Aisa karo ki log apke blog/website ki charcha kare iske liye ap social media sites ka use kare aur apne blog ka promotion kare.  Social media sites par apne blog ke link spread kare taki search engines ke web spiders ko apka blog trustable lage jisse apke blog ki rank me improvement hoga.

Social networking sites par dusre bloggers se friendship kare ,unke blogs ka pta lagakar unpar comment kare aur unhe apne blog ke bare me btaye ya comment karne ko bole

Ye choti choti chize apke blog ke SEO ke liye kafi important hai.

6 . Backlinks

Backlinks blog ki Backbone hai

Aap backlinks ki importance to jante honge shayad ,agar nhi to apko bta du ,backlinks blog ke liye back bone hai . Inke bina blog ko internet par izzt banana namumkin hai .

Isiliye apne blog ke liye link out or link in kare

Link out matalb iss post ke link ko dusri sites par alg networks ,or apne hi blog ke dusre post par link kare using anchor element with keyword.

Or link in me dusre apne ko link kare ,via sharing apne post ko dusri sites par or social networking sites par

Backlinks bnane ka sbse acha tarika Guest Posting bhi .

7 . Blog Content Update kare

Content ko update krna bhi bahut jruri hai SEO ke liye . Jo log apne blogs par regularly good quality content post karte hai unki rankings hmesha high hoti hai , regularly na kar paye tobhi week me 3-4 post dalte rahe to bhi ranking maintain rahti hai . Aisa na kare ki ek mahine me ek bar post karte ho,  isse web spiders ko crawl krne me dikkat hoti hai.

8. Patience (dherya) : 

ye point SEO ke liye jruri ho na ho par apke blog ke future ke liye bahut important hai . Blogging shuru krne ke baad bahut sari  dikkte aati hai but hume patience rkhna bahut jaruri jaruri hai . ye point khas tor par beginners ke liye hai . Ap agar blogging me new ho to please Patience khbhi mat khona , upar ke sbhi steps follow karo ,fir thoda patience se kaam kro aur sath hi muj par karo .

Apke blog ki rankings apke hath me hai na ki google bing yahoo. SEO , isme apko bas saara kaam neatly aur ek systematic manner me krna hota hai.


Bas yhi hai Simple and best 8 hot Search Engine Optimization (SEO) Tips For Bloggers


Iss post se related koi bhi question puchna ho to please comment karke btaye me apki help jrur krunga


Future me main Backlinks , Right Keyword Choose karne ki  Tips , images ka optimization , or bhi SEO Related post dalunga .

New post ke notification ke liye ap subscribe kar skte hai.




Read More Similar Posts


                                                                                                                                                                                          







8 Hot Search Engine Optimization (SEO) Tips Bloggers Ke Liye- Hindi Me 8 Hot Search Engine Optimization (SEO) Tips Bloggers Ke Liye- Hindi Me Reviewed by Rajesh on 12:07:00 PM Rating: 5

No comments:

Hume Khoosi hogi ap comment kroge to thank you

Powered by Blogger.