Janiye Whatsapp ke Saare Features Aur Unke Uses

Kya aap Saare Whatsapp Features Ka Use Jante Hai?

whatsapp features

Aaj ki dunia Smartphone ki dunia hai, or jiske paas smartphone vo whatsapp user na ho aisa kbhi ho nhi skta hai, whatsapp logo ke bich bahut jyada lokpriya hai. Reason hai iske features, kam khrche me jyada fayde ,sirf whatsapp me. Whatsapp ke itne users hone ka ek or bhi reason hai ,iske features ki simplicity . Whatsapp use krna bahut hi simple hai issi karan se villages ya jhaa illiteracy rate jyada hai vha bhi whatsapp ka use hota hai. Koi bhi news ho ,whatsapp par itni jaldi viral ho jati hai ki pucho mat, kher aap bhi ek whatsapp user hai itna me confirm hu ,tabhi ye post pad rhe hai . Vaise dekha jaye to Whatspp ke un lakho ,carodo(करोड़ो) logo me ,kuch log aise bhi hai jinhe whatsapp me sirf message bejna ,receive krna, calls krna , image share karna , audio share karna sirf ye chizze karna hi aati hai .


Whatsapp me aise bhi bahut features hai jo kai logo se abhi tak chupe hue hai ,jinhe aaj iss post ke through me sbke samne pesh karunga. To dosto dekhte hai Whatsapp ke Saare Features ,shayad jinse aap ya baki ke kai log anjaan the.



Whatsapp Features


1. Low Data Usage:- Whatsapp ke un carodo(करोड़ो) users me kuch aise users bhi hote hai ,jinse internet ke high monthly bills pay nhi kiye jate ,issi karan se vo whatsapp par bhi inactive rhte hai .Whatsapp ne iska solution nikala or ek new update ke sath unhone LOW DATA USAGE ka feature launch kiya . Iss feature se hum whatsapp call ke doran(दौरान) hum kafi date save(bcha) skte hai.

Ye option kha milega whatsapp me dekhe: menu(upar ki side me tin dot )>>settings>>chats and calls>>Low data usage

Iss par check lgate hi apka low data usage active ho jayega.

2. Starred Messages:- Ye bhi whatsapp ka ek behtareen feature hai. Iss feature ko logo dekhte to hai but na to iska use jante hai or na nhi kabhi use kiya hai ,me apko bta du ye bhi bahut kaam ki chiz hai

Bahut bar kya hota ki jab humare friends hume kuch important data send karte hai through whatsapp message ,jaise koi link, kisi chiz ke password ya kuch bhi message jo hume kabhi dubara check karne ki jarurt pd jati hai. Aise me hum kya karte hai us message ki dubara dekhne ke liye ,scroll karte jate hai ,karte jate karte hai,jab to message nhi milta hum scroll karte jate hai. Isse humara kafi time waste hota hai. Whatsapp ne iska solution nikala hai ,Starred Messages ke roop me. Vaise naam se pdta hai “star+red messages” matal important messages.

Is option ko use karne ke liye app kisi bhi chat ke message ko long press kare aur upr star par click karde, vo message starred messages me save ho jayega. Use starred messages me dekhne ke liye ap click kare menu>>starred messages, isme apke dwara save kiye important messages show ho jayenge.

3. Custom Notifications
:- Iss feature ka istmaal bhi bahut kam log karte hai ,reason ya to unko iska use nhi malum hota ya fir vo isse use karna fayde me nhi samjhte. Vaise bta du iske uss se hume bina mobile dekhe pta chal jata hai ki kiska message aaya hai. Custom Notification enable karne se hum individual contacts ke notification tone, tone mode , popup notification etc set kar skte hai.

Iss feature ko enable karne ke liye aap us contact par click karo jiske liye apko ye feature enable karna hai, fir menu >>view contact>>custom notification>>use custom notification.



Vaise agar apko yhi sab chize groups ke liye bhi karni hai to kar skte hai, menu>>settings>>notification>>yha aap message notification,group notification ,call notification ,ki setting change kar skte ho.

4. Chat Backup:- Iss Feature ka use ,naam se hi pta chlata hai ki isse chat ka backup liya ja skta hai. Chat ka backup bhi bahut jaruri hota hai , as a proof kaam karta hai ye feature. Chat backup me hum media ka bhi backup bhi le skte hai.

Option kha milega- menu>>settings>>chat and calls>>chat backup

Isme bahut option hai jihne aap dekh skte hai, kha backup lena ,daily automatic backup ka option bhi hai.

5. Mute:- Ye feature apko un contacts se picha chuddwaega jo apko disturb karte rhte hai . Mtalb ye unhe mute(चुप) kr dega. Iss feature ko bhi aap custom notification ke paas hi mojudh paenge.

6. E-mail Chat:- Ye feature apke tab kaam aayega jab apko apke kisi ek contact ke sare messages kisi dusre contact ko share karne ho to ,or vo dusra contact whatsapp user nhi ho to .Iss condition me aap E-mail Chat feature ka use le skte hai or ap saari chat ko email kar skte hai . Ek trh se ye feature bhi backup ka kaam karta hai , matal kisi bhi chat ko aap apne khud ki email par send krke use safe rakh skte ho. Fir chahe ap whatsapp se vo chat delete kardo. 

Option kha milega-Jis chat ko email karna hai uspar long press karo, fir email chat ka option show hoga ,uspar click karke apni saari chat email kardo.

Ye saare major features ho gye iske alwa minor features ki list ki bhi bahut badi hai ,shayad apne un features ka use kar liya hoga ya apko unka use pta hoga fir bhi ek bar memorize kra deta hu

Minor Features:-


Menu—Ye option sabse upr ek corner me hota hai ,teen dots isko represent karte hai. Iske undar or bhi option hai jaise :

1. New Group:-group create karne ke liye

2. New broadcast:- isme vo log apka message dekh paenge jinhone apke mobile no save kiye ho.

3. Whatsapp Web:- ye ek trh se whatsapp ka browser smhjlo

4. Starred messages :-phle bta chukka hu ,important messages ke liye.

5. Status :- apka whatsapp status

6. Settings:- isme or bhi option hai jaise:

a. Help: Kisi bhi trh ki help

b. Profile : isme apka profile picture matal dp(display picture) .

c. Account: isme apne account ki setting kar skte ho jaise security lagani ho,change number, account delete krna ho vgerah .

d. Chats and calls : isme bhi hum phle baat kar chuke hai.

e. Notifications: ye bhi pta hai

f. Contacts :isme hum hidden contacts ko bhi apne whatsapp contacts me show krwa skte hai.

Bas Yhi sab uses hai whatsapp features ke .

Ek or baat apko pta hai ya nhi ,fir bhi bta deta hu. Phle jab hum whatsapp par account bnate the, to vha likha aata tha “ye free service sirf one year ke liye hai, iske baad apse charge liya jaega” Lekin ab Whatsapp ke new update me aisa nhi hoga ,matalb ap life time whatsapp free me access kar payenge. That’s great na!



To dosto kya maine kuch important btaya ya nhi ,iska jwaab comment me jarur de ,muje khooshi hogi. 


Read More Similar Posts
                                                                                                                                                                                          













Janiye Whatsapp ke Saare Features Aur Unke Uses Janiye Whatsapp ke Saare Features Aur Unke Uses Reviewed by Rajesh on 8:32:00 PM Rating: 5

2 comments:

Hume Khoosi hogi ap comment kroge to thank you

Powered by Blogger.