6 Hot On-Page SEO Tips and 6 Killer Off-Page SEO Tips For Bloggers


On-Page Search Engine Optimization (SEO) and Off-Page Search Engine Optimization (SEO) Tips For Bloggers
on page search engine optimization and off page search engine optimization tips for bloggers

Purane Posts me ek post tha 8 Hot Search EngineOptimization (SEO) Bloggers ke liye , isme Apne ek jagah pda hoga On-Page SEO and Off-Page SEO , uss post me sirf maine definition btai thi ,aaj me dono type ke search engine optimization ko explain krunga vo bhi bilkul simple tarike se.

Sabse Phle Hum bat karte hai On-Page SEO Tips Ki fir Off-Page SEO ki

6 Hot On-Page Search Engine Optimization (SEO) Tips For Bloggers

6-hot on-page seo tips for bloggers

Vese har jagah SEO word dekh dekh ke apko pta lag gya hoga ki ye blog ke liye kitna important hai, ab isme bhi do method hai on-page SEO and off-page SEO , aap smjhne ke liye manlo ye dono bhai hai or ek dusre ke bina adhure hai mtalb apka blog tabhi rank kar skta hai jab dono type se apka blog optimized ho. To sabse On-Page SEO smjhte hai, isme image optimization ,title optimization, robots.txt file ka optimization ye sab chize included hai . Agar apne blogger Platform chuna hai to me apko iske liye basic on-page optimization tips btata hu jo apke blog ko successful hone me help karegi.

Bloggers Ke Liye 6-Basic On-Page SEO Tips


Hot Tip 1>>  Robots.txt file ka optimization: robots.txt file bhi bahut jaruri option hai ,isse hum un pages ko index hone se rok skte hai jinki vjh se duplicate content ka issue ho , isme coding karke hum google search engine ko alert kar skte hai.


Hot Tip 2>>  Title Optimization : Blogger me default template me post titles and page titles optimized nhi hote hai search engine ki nzro me , isliye hume khud ko Page Title and Post Title optimize karne padte hai ,jo hum thodi bahut coding karke kar skte hai.


Hot Tip 3>>  Images ka Optimization :  Bahut bloggers image optimization karna to bilkul bhul jate hai , aise me unki rank par kafi effect padta hai , image optimization karne ke liye hume images ke sath title=”” and alt=”” tags add karne hote hai . Image par click kro >properties me jao >title and alt me post related keywords dal do . bas ho gya image optimization.

Hot Tip 4>>  Proper Internal Links: Saare posts ko ek dusre se jod ke rkhna hi internal links hai, jaise maine upr first ya second line me kar rkha hai ,isse page views to bdte hi hai sath hi search engines me ranking sudhrti hai , ye bhi ek basic on-page seo ka hi part hai.


Hot Tip 5>>  Blog ki Loading Speed : On-page SEO me blog ki loading speed ka bhi bahut bda role hai, slow speed to kisi ko pasand nhi aati ,to search engine ko bhi nhi aati ,isliye blog bnao to fast loading speed ka dhyan rkho , Blog ki loading speed badane ke liye unnecessary widgets remove karo and simple template use kro .


Hot Tip 6>> Google Webmaster Tools ka Use Karo: Agar apne upr vali saari tips follow karke apne blog ko optimized kar diya hai ,to ye Google Tool apke kafi support karega , iss tool se tume pta lag jayega tume kha dhyan rkhne ki jrurt hai, fast index karega ,broken links ka pt lga lega , page errors btaega, or bhi bahut features hai iske jo apke 100% help krenge On-page SEO me.

6 Killer Off-Page Search Engine Optimization (SEO) Tips For Bloggers


6-killer off-page seo tips for bloggers

Jaisa ki maine phle btaya ki Off-page SEO me hum ,apne blog ka promotion karte hai social networking sites par ,dusre blogs par or bhi kai method hai off-page seo ke liye jo me apko btata hu.


Killer Tip 1>> Social Networking Sites : Aaj ke time me social networking site se blog promotion karna bahut badi baat hai ,phle hume online reputation bdani hoti hai ,fir apne blog ka promotion karna hota hai , blog topic ka promotion bhi apne blog ke related topic par hi krna hota hai, mere experience ke hisab se social netoworking bahut hi acha idea hai.


Killer Tip 2>> Blog Marketing : Blog marketing me hume dusre blogs par comment karna hota hai. Apne blog topic related blogs search krke comment karo or sath hi apne blog ka link usme add krdo. Isse search engine ko crawl krne me easy rhta hai or ye backlinks ka kaam bhi kar dete hai . In blogs ko DO-Follow Blogs kahte hai ( jaise hamara blog hai)


Killer Tip 3>> Forum Marketing: Apne blog niche ke related forums online search karo or unme involve ho jao , vha puche gye questions ke answer karo ,advice lo or do, etc. Isse apki reputation badegi or backlinks badenge jisse apko search results me ranking me sudhar hoga, ye off-page seo me dusra sbse acha tarika hai.


Killer Tip 4>>Search Engine Par Submit Kare: Vese to search engine apke blog ko khoj lete hai but thoda time lagate hai ,apki site ko jaldi index krane ke liye ,most popular search engines like google ,yahoo, bing,ask in par apne blog ko submit kare ,  confirm hai apki rankings me improvement hoga.


Killer Tip 5>>  Directory Submission: Bahut logo ka manna hai ki directory submission vala taika khtm ho gya hai ,but me ye manta hu ki ye tarika abhi bhi kayam hai bas jrurt hai thodi smjhdari ki , mtlb acche effectively directories or category choose krni hoti hai . Hum general directories par bhi submit kar skte hai lekin behtar hoga aap apne blog se related directories par hi submit kare. I’am sure apke blog ki rankings kuch dino me improve ho jaegi.


Killer Tip 6>> Image Sharing : Agar aapne apne blog me apni khud ki create ki hui images ka use liya hai to ye tips surely apke bahut kaam aayegi, apne blog ki images ko photo sharing sites par share kare jaise photo bucket, picasa, flickr etc. Apki images dusre logo ke paas jaegi or vo usme added link ko follow krke apki site par pahuch jaenge.

Ye 6 killar tips surely apke blog ke off-page seo ke liye kafi helpful hai ,vese ap answer questions sites jaise quora, yahoo answers, inka bhi use le skte ho apne blog ke OFF-PAGE SEO ke liye



Muje Aasha hai apko aaj ka post On-Page Search Engine Optimization (SEO) and Off-Page Search Engine Optimization (SEO) Tips For Bloggers samjh me aaya hoga or helpful rha hoga , iss topic me koi bhi doubt ho to please comment box me jrur btaye.



Read More Similar Posts
                                                                                                                                                                                          

join Tesla Themes  affiliate program 



6 Hot On-Page SEO Tips and 6 Killer Off-Page SEO Tips For Bloggers 6 Hot On-Page SEO Tips and 6 Killer Off-Page SEO Tips For Bloggers Reviewed by Rajesh on 3:23:00 PM Rating: 5

2 comments:

  1. Very great article information, thank you for sharing this.
    Website Designer in Nagpur

    ReplyDelete
  2. Thanks! Having a killer headlines make your blog more attractive.

    ReplyDelete

Hume Khoosi hogi ap comment kroge to thank you

Powered by Blogger.