Automatically Apne Blog Post Share Kare Faceook Par Via NetworkedBlogs-Hindi me


NetworkedBlogs Ke Jariye Apne Blog Post Ko Automatically Facebook Par Share Kare

NetworkedBlogs ke jariye apne blog post ko facebook par share kare automatically

Apne blog post ka promotion, search engine ranking ke liye bahut hi important hai . or agar blog ka promotion social networking sites par kiya jaye to ranking me kafi improvement hota hai .Isliye social networking sites like facebook bahut hi important hai apne blog posts ke promotion ke liye. Agar blog post automatically facebook par share ho jaye to kesa rhega , “sone par suhaga” hai na ?


To aaj ke post me main apko btata hu kaise hum apne blogger blog post ko facebook par automatically share kar skte hai .

Actually is kaam ko anzaam dene ke liye hume NetworkedBlogs ki help leni padti hai , NetworkBlogs jisse aap ek facebook app bhi keh skte ho.

Apne blog post ke promotion ka bahut hi accha or simple tarika hai , NetworkedBlogs me hume apne blog ko submit krna hota hai .

Jab bhi hum new post likhte hai to hume facebook par share karne ki jrurt to padti hai ,jisme humara kafi time kharab hota hai isiliye NetworkedBlogs ne iska solution nikala ,iski khas bat yhi hai ki ye apne blogger ke blog post ko automatically facebook par share kar deta hai .


To abse aap bhi iss app ka use leke ,apna kafi time bcha skte hai . chlo me apko ye bhi bta deta hu isse use kaise krte hai .



Ise use krna bahut hi aasaan hai , or muje pkka pta hai ,apko ye blog post automatically krne vala tarika bahut psnd aayega .



Apko Kuch Steps Follow krni hai NetworkedBlogs use krne ke liye

Apna Blog Register kare

Jyada se jyada 7,8 minute lagenge apko , let’s start

1. Sabse phle NetworkedBlogs ki site par jaye (networkedblogs.com) .

Yhaa apko “GET STARTED NOW” par click krna hai ,yha apko facebook permission deni hogi





Get started now par click kare
2. Ab "register a new blog" par click kro , or apne blog ka link use add kro or next button par click krdo
register a new blog , apko apne blog ka link add krna hai fir next button par click kare

3. Ab apko ek requirement form show ho rha hoga ,usme jitni bhi chize fill krne ko boli hai vo saari dyan se fill kro

4. Jaise hi upr vali step clear kroge ,ab apko apne blog ki ownership verify krni hai ,jo apne google webmaster tools me bhi kiya hoga. Isme bhi simply apko widget code ko copy krke apne blog ke template me paste krna hai .


diye gaye widget code ko apne blogger me blog template me paste krna hai

 

5. Aur jab aap successfully code add krdo to verify button par click kro.

Ab apko ek message dikhega ,jesa ki niche image me hai


you are verified as the author

Ab Apne Blog Post ko Syndicate krna hai


Chlo dekhte hai apne blog post ko social profile se syndicate karte hai

Sabse phle Syndication option par click kre (left side bar )

Ab ek target option dikhega , syndicate target option , usme apni profile choose kare ,pages aur groups fir add button par click karde.




Ye lo ho gya enable networkedblogs ka autoposting feature



Ab jab aap isse use krenge tab acche se smj jaenge iske or features aur sath hi apko ahsaas hoga ki apke blogger blogs ke liye ye auto posting app kitna kmaal ka hai .



In future –  twitter,linkedin inke liye bhi me aisa app find krke ,jrur post krunga , agar apke pass aisa koi ki jankari ho to please comment me jrur bataye .



Finally itna kehna chahunga please yaar dosto ,agar apko lgata hai mere post apke kbhi kaam ke shabit hue hai to share jrur kre . 


Read More Similar Posts


                                                                                                                                                                                          





 




Automatically Apne Blog Post Share Kare Faceook Par Via NetworkedBlogs-Hindi me Automatically Apne Blog Post Share Kare Faceook Par Via NetworkedBlogs-Hindi me Reviewed by Rajesh on 10:56:00 PM Rating: 5

No comments:

Hume Khoosi hogi ap comment kroge to thank you

Powered by Blogger.